kabhi jab dastan-e-gardish-e-ayyam likhta hun
to phir unwan ki surat mein apna nam likhta hun
kabhi aaghaz likhta hun kabhi anjam likhta hun
asiran-e-mohabbat ki jo subh-o-sham likhta hun
jalane lagti hai jab shiddat-e-tishna-labi mujh ko
teri aankhon ko mai-KHana nazar ko jam likhta hun
kisi par kis liye tohmat rakhun KHana-KHarabi ki
main apne nam barbaadi ke sab ilzam likhta hun
mohabbat ke taqaddus ko kabhi pamal mat karna
mohabbat ka yahi paigham sab ke nam likhta hun
muKHatab hone lagti hai KHud apni zindagi mujh se
'wali' jab bhi main sharah-e-gardish-e-ayyam likhta hun

Ghazal
Kabhi jab dastan-e-gardish-e-ayyam likhta hun
Waliullah wali