kabhi hudud se bahar kabhi wo had mein raha
mera yaqin hamesha guman ki zad mein raha
hai bahr-o-bar mein rawan haal mera sayyara
gahe wo burj-e-samak mein gahe asad mein raha
usi ke dam se rahi zindagi ki rangini
junun ka kaif jo paimana-e-KHirad mein raha
use nasib kahan lazzat-e-sabil-e-safar
wo karwan jo nigahbani-e-rasad mein raha
use kahan se milegi tere makan mein aman
tamam-umr jau paikar-e-nek-o-bad mein raha
'raza' jo guzra to kuchh raushni bhi chhoD gaya
wo ek sharar tha jo andesha-e-abad mein raha
Ghazal
Kabhi hudud se bahar kabhi wo had mein raha
Moosa Raza