kabhi honTon pe aisa lams apni aankh khole
ki bosa KHud-kushi karne se pahle muskura de
koi aansu chamakne mein hamara sath deta
to zohra aur atarid apne ghar ki rah lete
laja kar raat ne kuchh aur bhi ghunghaT nikala
talab ne jism pahna shauq ne gahne utare
tasawwur mein Tahalte KHal-o-KHad kya chahte hain
udasi se kaho taswir ki aankhon se puchhe
dukan ek samne aisi achanak aa gai thi
jahan mumkin na tha hum apni jebon mein samate
bhikaran jate jate pichhe muD kar dekh le to
main us ke nam kar dun dil ke maftuha ilaqe
utar aatin tere jhilon pe sustane ko Daren
to us din hum bhi apne ghaar se bahar nikalte
Ghazal
Kabhi honTon pe aisa lams apni aankh khole
Sarfraz Zahid