kabhi hayat ka gham hai kabhi tera gham hai
har ek rang mein nakaamiyon ka matam hai
KHayal tha tere pahlu mein kuchh sukun hoga
magar yahan bhi wahi iztirab paiham hai
mere habib meri muskurahaTon pe na ja
KHuda-gawah mujhe aaj bhi tera gham hai
sahar se rishta-e-ummid bandhne wale
charagh-e-zist ki lau sham hi se maddham hai
ye kis maqam pe le aai zindagi 'rahi'
qadam qadam pe jahan bebasi ka aalam hai
Ghazal
Kabhi hayat ka gham hai kabhi tera gham hai
Ahmad Rahi