kabhi hawa ne kabhi uDte pattharon ne kiya
hamein to nashr ajab si wazahaton ne kiya
tamam manzar-e-shab Dher ho gaya dil par
ye kya sitam mere qadmon ki aahaTon ne kiya
har ek chiz lagi TuTti si bahar ki
ki jo kiya mere andar ke manzaron ne kiya
khuli na aankh kabhi ek pal ko sahra ki
agarche shor bahut uDti bastiyon ne kiya
udhar to kuchh na tha yun hi wo aate jate rahe
ajab mazaq safar se musafiron ne kiya
main apne aap se Darne laga bhare ghar mein
ye mujh se kiya mere apne hi aainon ne kiya
kai tarah se ghaTaya baDhaya sayon ko
makan makan pe yahi kaam surajon ne kiya
Ghazal
Kabhi hawa ne kabhi uDte pattharon ne kiya
Chandra Parkash Shad