kabhi harif kabhi ham-nawa hamin Thahre
ki dushmanon ke bhi mushkil-kusha hamin Thahre
kisi ne rah ka patthar hamin ko Thahraya
ye aur baat ki phir aaina hamin Thahre
jo aazmaya gaya shahr ke faqiron ko
to jaan-nisar-e-tariq-e-ana hamin Thahre
hamin KHuda ke sipahi hamin muhajir bhi
the haq-shanas to phir rahnuma hamin Thahre
dilon pe qaul-o-amal ke wo naqsh chhoDe hain
ki peshwaon ke bhi peshwa hamin Thahre
'faragh' ran mein kabhi hum ne munh nahin moDa
maqam-e-ishq se bhi aashna hamin Thahre
Ghazal
Kabhi harif kabhi ham-nawa hamin Thahre
Faragh Rohvi