kabhi hum un ki sunte hain kabhi apni sunate hain
isi daur-e-mohabbat mein ye din yun bit jate hain
kaha tha jo kabhi tum ne chalo dekhen nazare hum
usi qatil-ada se ab hamin ko kyun satate hain
zamana puchhega tumhaare KHasta-haal ka beora
hamari baat to chhoDo hamein yun hi bulate hain
pata puchhe hamara jo kaho ab kya bataen hum
raqibon ka pata bhi to nahin ab hum batate hain
bhale 'KHuddar' kahta ho KHata-wari nahin ki hai
use bolo faqiron mein use murshid batate hain

Ghazal
Kabhi hum unki sunte hain kabhi apni sunate hain
Madhukar Jha Khuddar