kabhi hum but kabhi nur-e-sanam ko dekh lete hain
aqide se baDi dair-o-haram ko dekh lete hain
kabhi rote hue mujh ko nazar-andaz karte hain
kabhi aankhon mein wo halki si nam ko dekh lete hain
kabhi us muskurahaT mein kabhi us be-ruKHi mein hum
sitam ko dekh lete hai karam ko dekh lete hain
hamein is waste bhi aaine par pyar aata hai
hum apni aankh mein apne balam ko dekh lete hain
bichhaD ke ho chuke barson magar KHwabon ko hai taslim
hum un ko dekh lete hain wo hum ko dekh lete hain
Ghazal
Kabhi hum but kabhi nur-e-sanam ko dekh lete hain
Megi Asnani