kabhi hai aaj aur kal kabhi hai bhala ye ahd-e-visal kya hai
ho wada ifa ki tark-e-ulfat ye roz-marra ki Tal kya hai
zaban bigDi hai aap hi ki hamara nuqsan kya hai is mein
zara tumhin puchhun dil se apne bhala ye tarz-e-maqal kya hai
jo manga ek bosa main ne un se to bole kya tu saDi hua hai
zara ye baaten suno to logo jawab kya hai sawal kya hai
unhen sar-e-rah akela pa kar ye bola chhati se main laga kar
ki ab to farma den banda-parwar visal mein qil-o-qal kya hai
hain tark-e-ulfat mein hum bhi raazi ye kah do be-khaTke us sanam se
buton ka is hind ki zamin par KHuda ki rahmat se kal kya hai
kaDa rakhe aadmi jo dil ko to jhel le har kaDi ko aasan
bandhi hui ho jo apni himmat to kaam koi muhaal kya hai
ye kaisi hain ThanDi sansen 'kaifi' kahin to aaya hai aap ka dil
ye munh nikal aaya kyun zara sa bataiye to ki haal kya hai
Ghazal
Kabhi hai aaj aur kal kabhi hai bhala ye ahd-e-visal kya hai
Dattatriya Kaifi