kabhi ghuncha kabhi shoala kabhi shabnam ki tarah
log milte hain badalte hue mausam ki tarah
mere mahbub mere pyar ko ilzam na de
hijr mein id manai hai moharram ki tarah
main ne KHushbu ki tarah tujh ko kiya hai mahsus
dil ne chheDa hai teri yaad ko shabnam ki tarah
kaise hamdard ho tum kaisi masihai hai
dil pe nashtar bhi lagate ho to marham ki tarah

Ghazal
Kabhi ghuncha kabhi shoala kabhi shabnam ki tarah
Rana Sahri