اردو हिंदी
Kabhi gulon kabhi Khaaron ke darmiyan guzri | Shaahi Shayari
kabhi gulon kabhi Khaaron ke darmiyan guzri

Ghazal

Kabhi gulon kabhi Khaaron ke darmiyan guzri

Khurshid-ul-islam

;

kabhi gulon kabhi KHaron ke darmiyan guzri
saba chaman se ba-zahir to shadman guzri

usi ka nam azal hai usi ka nam abad
wo ek raat jo phulon ke darmiyan guzri

kahin lapak uThe shoale kahin mahak uThe gul
shab-e-firaq na puchho kahan kahan guzri

ba-shakl-e-qamat-e-adam ba-tarz-e-raqs-e-pari
hamare sar pe qayamat bhi kya jawan guzri

kabhi kabhi to gham-e-dil ki lai baDhi itni
dil-e-hayat ki dhaDkan bhi kuchh garan guzri

baDe nasheb bahut pech-o-KHam the rahon mein
magar ye umr-e-do-roza rawan-dawan guzri

baham rahe hain sar-o-sina yak-digar kya kya
ki sar pe tegh paDi dil se jab sinan guzri