kabhi dimagh kabhi dil kabhi nazar mein raho
ye sab tumhaare hi ghar hain kisi bhi ghar mein raho
jala na lo kahin hamdardiyon mein apna wajud
gali mein aag lagi ho to apne ghar mein raho
tumhein pata ye chale ghar ki rahaten kya hain
hamari tarah agar chaar din safar mein raho
hai ab ye haal ki dar dar bhaTakte phirte hain
ghamon se main ne kaha tha ki mere ghar mein raho
kisi ko zaKHm diye hain kisi ko phul diye
buri ho chahe bhali ho magar KHabar mein raho
Ghazal
Kabhi dimagh kabhi dil kabhi nazar mein raho
Rahat Indori