اردو हिंदी
Kabhi dekho to maujon ka taDapna kaisa lagta hai | Shaahi Shayari
kabhi dekho to maujon ka taDapna kaisa lagta hai

Ghazal

Kabhi dekho to maujon ka taDapna kaisa lagta hai

Abdul Hamid

;

kabhi dekho to maujon ka taDapna kaisa lagta hai
ye dariya itna pani pi ke pyasa kaisa lagta hai

hum us se thoDi duri par hamesha ruk se jate hain
na jaane us se milne ka irada kaisa lagta hai

main dhire dhire un ka dushman-e-jaan banta jata hun
wo aankhen kitni qatil hain wo chehra kaisa lagta hai

zawal-e-jism ko dekho to kuchh ehsas ho is ka
bikharta zarra zarra koi sahra kaisa lagta hai

falak par uDte jate baadalon ko dekhta hun main
hawa kahti hai mujh se ye tamasha kaisa lagta hai