kabhi dekhen jo ru-e-yar daraKHt
apne phulon ko samjhen KHar daraKHt
chaar-su hai inhen ka likh piDa
ye anasir ke hain jo chaar daraKHt
mere gulzar mein hain shoale phul
mere har aah shoala-bar daraKHt
sau fasad ek ishq mein uTThe
boya ek tuKHm uge hazar daraKHt
jab chala bagh se wo sarw-e-rawan
ho gae taeron ko dar daraKHt
jis ko tuba zamana kahta hai
tere ghar mein hai saya-dar daraKHt
tu KHizan mein jo sair ko nikle
mere ho jaen be-bahaar daraKHt
phal na laya nihaal-e-ishq apna
phale-phule hazar bar daraKHt
'bahr' kya nashshe mein KHush aate hain
nahr-e-gulshan ke dar par daraKHt
Ghazal
Kabhi dekhen jo ru-e-yar daraKHt
Imdad Ali Bahr