kabhi dard-ashna tera bhi qalb shadman hoga
kabhi nam-e-KHuda tu bhi to ai kam-sin jawan hoga
nahin malum un ki jalwa-gah mein kya saman hoga
nazar jab kaamran hogi to ai dil tu kahan hoga
wahi ek sans madhosh hayat-e-jawedan hoga
jo aah-e-sard ban kar soz-e-gham ka tarjuman hoga
laraz jaenge ye mazlumi dil ke tamashai
agar ye KHak ka to wo kabhi aatish-fishan hoga
jo soz-e-dil se muztar ho ke aaega sar mizhgan
to KHurshid-e-qayamat mera ashk KHun-chakan hoga
sitare ban ke chamkenge dil barbaad ke zarre
ye dil barbaad ho kar bhi dalil-e-karwan hoga

Ghazal
Kabhi dard-ashna tera bhi qalb shadman hoga
Wasif Dehlvi