kabhi dahakti kabhi mahakti kabhi machalti aai dhup
har mausam mein aangan aangan rup badal kar chhai dhup
us ko zaKHm mile duniya mein jis ne mange taza phul
jis ne chahi chhanw ki chhatri us ke sar par chhai dhup
jaane apna rup dikha kar kis ne parda tan liya
kis ki khoj mein aawara hai angnai angnai dhup
chaDhte suraj ki kirnen hain daulat izzat shohrat shan
aaKHir aaKHir har diwar se yaro Dhalti aai dhup
danish ki afzuni akasr karti hai dil ko gumrah
tez ziyaada ho to chhine aankhon ki binai dhup
mathe par sindur ki bindiya thaali mein kuchh surKH gulab
nur ke taDke usha taT par puja karne aai dhup
kaun baDhae pyar ki pengen us naT-khaT banjaran se
phirne ko to nagri nagri phirti hai harjai dhup
janam janam ke andhiyare ka jadu chhan mein TuT gaya
'sabir' aaj meri kuTiya mein chupke se dar aai dhup
Ghazal
Kabhi dahakti kabhi mahakti kabhi machalti aai dhup
Nau Bahar Sabir