kabhi daman-e-dil par dagh-e-mayusi nahin aaya
idhar wada kiya us ne udhar dil ko yaqin aaya
mohabbat-ashna dil mazhab-o-millat ko kya jaane
hui raushan jahan bhi sham-e-parwana nahin aaya
do-alam se guzar ke bhi dil-e-ashiq hai aawara
abhi tak ye musafir apni manzil par nahin aaya
meri jaanib se un ke dil mein kis shikwe pe kina hai
wo shikwa jo zaban par kya abhi dil mein nahin aaya
hayat-e-be-KHudi kuchh aisi na-mahsus thi 'natiq'
ajal aai to mujh ko apni hasti ka yaqin aaya
Ghazal
Kabhi daman-e-dil par dagh-e-mayusi nahin aaya
Natiq Lakhnavi