kabhi bhule se mumkin ho meri jaanib agar hona
to auron ki taraf se apni nazren pher kar hona
musalsal hijr ke sadme ye dil ab sah nahin sakta
ghaDi bhar ka juda hona agar bar-e-digar hona
ghanimat hai ki ek rasmi taaruf to mayassar hai
nahin aasan kisi mah-wash ka manzur-e-nazar hona
na hona tum kisi ke bhi yahan par ham-safar yaro!
agar hona samajh kar soch kar kuchh dekh kar hona
nahin hai bais-e-azar-e-jaan tarz-e-amal koi
magar us ka mere bare mein akasr be-KHabar hona
wo sun lete hain yun to sher mere ru-ba-ru phir bhi
zaruri to nahin har dil pe sheron ka asar hona
main apni zat mein jaisa bhi hun jo kuchh bhi hun 'nasir'
farishton se kahin behtar hai mujh sa bhi bashar hona
Ghazal
Kabhi bhule se mumkin ho meri jaanib agar hona
Nasir Zaidi