kabhi bhule-bisre jo main kahin kisi mai-kade mein chala gaya
mere nam aaya hai jam agar na liya gaya na piya gaya
gaya bazm-e-husn-o-jamal mein jo main shauq-e-arz-e-talab liye
mere zehn-o-dil ka wo haal tha ki zaban se kuchh na kaha gaya
mere nama-bar ne jo KHat diya mujhe la ke jaan-e-bahaar ka
hui zehn-o-dil ki wo kaifiyat na paDha gaya na suna gaya
ba-hazar koshish-o-justuju mera zaKHm-e-dil na hua rafu
lage lakh marham-e-rang-o-bu na bhara gaya na siya gaya
teri be-ruKHi ne diya wo gham jo kisi tarah bhi hua na kam
mujhe ghun ki tarah laga raha meri zindagani ko kha gaya
wo tajassus apna bhi KHub tha ki talash-e-haq thi jagah jagah
magar apne dil pe paDi nazar to main ek lamhe mein pa gaya
hai 'amir' dil mein wahi chamak jo paDi thi nur ki ek jhalak
wahi ek partaw-e-husn to meri zindagi ko saja gaya

Ghazal
Kabhi bhule-bisre jo main kahin kisi mai-kade mein chala gaya
Mohammad Amir Azam Quraishi