kabhi bhanwar thi jo ek yaad ab sunami hai
magar ye kya ki mujhe ab bhi tishna-kaami hai
main us pe jaan chhiDakta hun ba-KHuda phir bhi
kahin hai kuchh mare bhitar jo intiqami hai
magar jo wo hai wahi hai bhala kahan koi aur
hazar aib sahi mana lakh KHami hai
jo ji mein aaya wahi minn-o-an hai kaghaz par
na socha samjha sa kuchh aur na ehtimami hai
kisi ke rang ranga main na mere rang koi
ye ibtidai naya Dhab to iKHtitami hai
mulahiza ho kahun kyun tawajjoh kyun chahun
kalam kab hai mera sher KHud-kalami hai
main apni monchhon pe dun taw bhi to kis munh se
yahan to jo bhi hai mujh se baDa harami hai
Ghazal
Kabhi bhanwar thi jo ek yaad ab sunami hai
Shamim Abbas