kabhi bahut hai kabhi dhyan tera kuchh kam hai
kabhi hawa hai kabhi aandhiyon ka mausam hai
abhi na toDa gaya mujh se qaid-e-hasti ko
abhi sharab-e-junun ka nasha bhi maddham hai
ki jaise sath tere zindagi guzarti ho
tera KHayal mere sath aaise paiham hai
tamam fikr-e-zaman-o-makan se chhuT gai
siyah-kari-e-dil mujh ko aisa marham hai
main KHud musafir-e-dil hun use na rokungi
wo KHud Thahar na sakega jo qaidi-e-gham hai
wo shauq-e-tez-rawi hai ki dekhta hai jahan
zamin pe aag lagi aasaman barham hai
Ghazal
Kabhi bahut hai kabhi dhyan tera kuchh kam hai
Tanveer Anjum