kabhi bahaar na aai bahaar ki surat
badal gai chaman-e-rozgar ki surat
hawa-e-lutf-o-karam ke faqat sahaare par
paDe hain rah mein gard-o-ghubar ki surat
wafa ki shakl na dekhi tumhaare wadon par
yahi zamane mein hai eatibar ki surat
pas-e-fana meri qismat khuli wo rote hain
KHud apne ghar mein bana kar mazar ki surat
bagula dekh ke shukr-e-KHuda wo kahte hain
nazar mein phir gai ek KHaksar ki surat
jidhar zamana phira main bhi sath sath phira
jo rang dekha wahi iKHtiyar ki surat
har ek baat pe chubhti hui jo kahta hun
tumhaare dil mein khaTakta hun KHar ki surat
kisi ka bhes bharenge 'saKHa' hain chalte hue
hazar rup se dekhenge yar ki surat
Ghazal
Kabhi bahaar na aai bahaar ki surat
Syed Nazeer Hasan Sakha Dehlavi