kabhi azabon mein bas rahi hai kabhi ye KHwabon mein kaT rahi hai
ye muKHtasar si hai zindagi jo hazar KHanon mein baT rahi hai
kahin pe KHushiyon ki barishen hain kahin pe naghmat-e-aish-o-masti
magar gharibon ke gulshanon se KHizan hi baDh kar lipaT rahi hai
kahan hai jazbe mohabbaton ke kahan hai rasm-e-wafa-parasti
mili thi tahzib ki badaulat wahi mohabbat to ghaT rahi hai
lage hain baDhne nazar nazar mein fahashiyon ke tamam sapne
saron pe saya-fagan thi kal tak rida haya ki simaT rahi hai
jo sin-rasida shajar the sare jaDon se apni ukhaD rahe hain
zamin ke rishton ki chhanw yaro saron se apne bhi chhaT rahi hai
kise sunaenge ab wo 'zakir' ki chahaton mein kashish nahin hai
nazar se ojhal main ho raha hun nigah se wo bhi to haT rahi hai
Ghazal
Kabhi azabon mein bas rahi hai kabhi ye KHwabon mein kaT rahi hai
Zakir Khan Zakir