kabhi azab kabhi ek taziyana hai
hamara dur guzishta ka shaKHsana hai
bas ek wada-e-farda pe log zinda hain
bas ek lamha-e-maujud aab-o-dana hai
tanazuraat yahan to badalte rahte hain
tumhaara nek rawayya bhi mujrimana hai
ab aisi dhund mein mujh ko dikhai kya dega
hai bas mein tir na qabu mein wo nishana hai
wo sang-e-rah bhi taza hawa ka jhonka bhi
kabhi qayam kabhi har taraf rawana hai
Ghazal
Kabhi azab kabhi ek taziyana hai
Javed Nasir

