اردو हिंदी
Kabhi awwal nazar aana kabhi aaKHir hona | Shaahi Shayari
kabhi awwal nazar aana kabhi aaKHir hona

Ghazal

Kabhi awwal nazar aana kabhi aaKHir hona

Zafar Iqbal

;

kabhi awwal nazar aana kabhi aaKHir hona
aur waqfon se mera ghaeb o hazir hona

main kisi aur zamane ke liye hun shayad
is zamane mein hai mushkil mera zahir hona

main na hone pe hi KHush tha magar aise hua phir
mujh ko na-chaar paDa aap ki KHatir hona

dur ho jaun bhi is bagh-e-badan se lekin
kahin mumkin hi nahin aise manazir hona

waqai tum ko dikhai hi nahin deta hun
ya zarurat hai tumhaari mera munkir hona

rasta aap banana hi koi sahl nahin
phir usi raste ka aap musafir hona

wo maqamat-e-muqaddas wo tere gumbad o qaus
aur mera aise nishanat ka zaer hona

baadalon aur hawaon mein uDa phirta main
kash hota meri taqdir mein tair hona

kaam nikla hai kuchh utna hi ye pechida 'zafar'
jitna aasan nazar aaya mujhe shaer hona