kabhi anjaane mein jab bhi kisi ka dil dukhata hun
to phir tanhaiyon mein baiTh kar aansu bahata hun
mujhe malum hai manzar hasin wo ho chuke dhundle
magar kyun roz aankhon mein wahi manzar bulata hun
meri is baat se naraaz hain kuchh bastiyon wale
KHushi ghar ghar luTata hun magar gham kyun chhupata hun
meri sanson ki quwwat ka bahut mushkil hai andaza
main phunkon se charaghon ko nahin suraj bujhata hun
meri fitrat hai apne hafize ko taza rakhne ki
main apna hafiza kamzor hone se bachata hun
Ghazal
Kabhi anjaane mein jab bhi kisi ka dil dukhata hun
Mushtaq Sadaf