kabhi ai haqiqat-e-dilbari simaT aa nigah-e-majaz mein
ki taDap rahe hain hazaron dil rah-e-ishq-e-sina-gudaz mein
ye kashish ye jazb ye moajiza nigah-e-yatim-e-hijaz mein
ki paDe the saikDon ghaznawi bhi jahan libas-e-majaz mein
faqat ek nuqta gunah ka sar-e-charKH abr-e-siyah bana
nazar aain mujh ko jo wusaten teri afw-e-banda-nawaz mein
ye nahin ki hum mein nahin hain wo ye nahin ki ain hami hain wo
magar ek haqiqat-e-manawi hai nihan libas-e-majaz mein
na ana ghalat tha na haq-e-ghalat magar itni si ghalati hui
ye jo raaz tha use chahiye tha chhupana parda-e-raaz mein
jise pi ke pir bane jawan jise pi ke chiKH uThe jawan
ye wo mai hai saqi-e-mai-kashan teri chashm-e-baada-nawaz mein
Ghazal
Kabhi ai haqiqat-e-dilbari simaT aa nigah-e-majaz mein
Abdul Aleem Aasi