kabhi aansu kabhi KHwabon ke dhaare TuT jate hain
zara si aankh mein kya kya nazare TuT jate hain
hawa bhi aaj-kal rakhti hai tewar pattharon jaise
yahan to soch se pahle ishaare TuT jate hain
hamein tanhaiyon mein yun sadaen kaun deta hai
samundar kanp uThta hai kinare TuT jate hain
pas-e-diwar chhup jate hain jo tufan se Dar kar
unhin ki zindagi mein sab sahaare TuT jate hain
jabin par kaun si tahrir likkhi hai KHuda jaane
hamare pas aa kar kyun sitare TuT jate hain
Ghazal
Kabhi aansu kabhi KHwabon ke dhaare TuT jate hain
Dinesh Thakur