kabhi aankhon pe kabhi sar pe biThae rakhna
zindagi talKH sahi dil se lagae rakhna
lafz to lafz hain kaghaz se bhi KHushbu phuTe
safha-e-waqt pe wo phul khilae rakhna
chand kya chiz hai suraj bhi ubhar aaega
zulmat-e-shab mein lahu dil ka jalae rakhna
hurmat-e-harf pe ilzam na aane pae
suKHan-e-haq ko sar-e-dar sajae rakhna
farsh to farsh falak par bhi sunai dega
meri aawaz mein aawaz milae rakhna
kabhi wo yaad bhi aae to malamat karna
kabhi us shoKH ki taswir banae rakhna
'baKHsh' sikha hai shahidan-e-wafa se hum ne
hath kaT jaen alam munh se uThae rakhna
Ghazal
Kabhi aankhon pe kabhi sar pe biThae rakhna
Bakhsh Layalpuri