kabhi aaine sa bhi sochna mujhe aa gaya
mera dil ke bich hi TuTna mujhe aa gaya
teri pahli did ke sath hi wo fusun bhi tha
tujhe dekh kar tujhe dekhna mujhe aa gaya
koi gahre nil sa sehr hai teri aankh mein
ye wo jhil hai jahan Dubna mujhe aa gaya
mujhe kya jo ho koi lai mein sher mein rang mein
mera dukh ye hai use DhunDna mujhe aa gaya
ki ada-e-yar pe munhasir meri chaal thi
kahin jitna kahin haarna mujhe aa gaya
jahan fart-e-masti mein kaj-qadam the saman-baran
koi gir raha tha to thamna mujhe aa gaya
baDe kaam ki thi jo guftugu rahi ru-ba-ru
tu na jaan, par tujhe jaanna mujhe aa gaya
Ghazal
Kabhi aaine sa bhi sochna mujhe aa gaya
Iqbal Kausar