kabhi aahen kabhi nale kabhi aansu nikle
un se aaghaz-e-suKHan ke kai pahlu nikle
yun bhi wo bazm-e-tasawwur se guzar jate hain
jaise lai saz se ya phul se KHushbu nikle
hai is ummid pe saiqal hunar-e-tesha-zani
sina-e-sang se shayad koi gul-ru nikle
qissa-e-dar-o-rasan hi sahi kuchh baat karo
kisi unwan se to zikr-e-qad-o-gesu nikle
gham-e-dauran ne kiya ahl-e-tamanna ka wo haal
dasht se jaise hirasan koi aahu nikle
hum jinhen 'hosh' tajahul se KHata samjhe the
nawak-e-naz wo sab dil mein taraazu nikle
Ghazal
Kabhi aahen kabhi nale kabhi aansu nikle
Hosh Tirmizi