kabhi aabaad karta hai kabhi barbaad karta hai
sitam har rose hi wo ek naya ijad karta hai
hum us ki har ada par rose par phailae aate hain
nazar ke jal mein paband jo sayyaad karta hai
wo kal bhi mo'atabar tha aaj bhi rahbar hamara hai
wo dushman jo watan ki khokhli buniyaad karta hai
usi ke ishq mein jalna meri taqdir Thahri hai
mohabbat ki nai jo bastiyan aabaad karta hai
main us ke pyar ke dhagon se apni umr bunta hun
jo mera nam le le kar mujhe barbaad karta hai
tazad-e-ishq ka ye khel bhi kitna anokha hai
use hum bhul jate hain jo hum ko yaad karta hai
zamana ho gaya lekin KHabar lene nahin aaya
jo panchhi rose mere nam par aazad karta hai
ajab wo shaKHs hai us ki mohabbat bhi nirali hai
jo pahle qaid kar ke baad mein aazad karta hai
main ek muddat se us ke pyar ki KHushbu mein jita hun
'hasan' misl-e-hawa jo rose mujh ko shad karta hai
Ghazal
Kabhi aabaad karta hai kabhi barbaad karta hai
Hasan Rizvi