kab wo zahir hoga aur hairan kar dega mujhe
jitni bhi mushkil mein hun aasan kar dega mujhe
ru-ba-ru kar ke kabhi apne mahakte surKH honT
ek do pal ke liye gul-dan kar dega mujhe
ruh phunkega mohabbat ki mere paikar mein wo
phir wo apne samne be-jaan kar dega mujhe
KHwahishon ka KHun bahaega sar-e-bazar-e-shauq
aur mukammal be-e-sar-o-saman kar dega mujhe
munhadim kar dega aa kar sari tamiraat-e-dil
dekhte hi dekhte viran kar dega mujhe
ek na-maujudgi rah jaegi chaaron taraf
rafta rafta is qadar sunsan kar dega mujhe
ya to mujh se wo chhuDa dega ghazal-goi 'zafar'
ya kisi din sahab-e-diwan kar dega mujhe
Ghazal
Kab wo zahir hoga aur hairan kar dega mujhe
Zafar Iqbal