kab wo bhala hamari mohabbat mein aa gae
hae wo log jo ki zarurat mein aa gae
waise to un ko sae se uljhan bala ki thi
momi badan the dhup ki nafrat mein aa gae
reza wajud mera abhi tak hawa mein hai
tum to qarib mere shararat mein aa gae
kuchh to hamein bhi jagte rahne ka shauq tha
kuchh ratjage bhi KHwab ki qimat mein aa gae
aawaz de raha hai abhi kuza-gar mujhe
yun lag raha hai chaak se ujlat mein aa gae
yaadon ke is hujum se fursat nahin hamein
tujh se bichhaD ke kaisi ye fursat mein aa gae
ab aankh se pila do mere yar zindagi
ki KHal-o-KHad ke par to wahshat mein aa gae
yani hamare nam ki shohrat hai auj par
yani faqih-e-shahr ki tohmat mein aa gae
bhai sabhi pasand ki shadi ke haq mein the
bahnon ne KHwab dekhe to ghairat mein aa gae
shahi mizaj rakhte hain munsif sabhi yahan
'babar' ye kis tarah ki adalat mein aa gae
Ghazal
Kab wo bhala hamari mohabbat mein aa gae
Ahmad Sajjad Babar