اردو हिंदी
Kab us ka visal chahiye tha | Shaahi Shayari
kab us ka visal chahiye tha

Ghazal

Kab us ka visal chahiye tha

Jaun Eliya

;

kab us ka visal chahiye tha
bas ek KHayal chahiye tha

kab dil ko jawab se gharaz thi
honTon ko sawal chahiye tha

shauq ek nafas tha aur wafa ko
pa-e-mah-o-sal chahiye tha

ek chehra-e-sada tha jo hum ko
be-misl-o-misal chahiye tha

ek karb mein zat-o-zindagi hain
mumkin ko muhaal chahiye tha

main kya hun bas ek malal-e-mazi
is shaKHs ko haal chahiye tha

hum tum jo bichhaD gae hain hum ko
kuchh din to malal chahiye tha

wo jism jamal tha sarapa
aur mujh ko jamal chahiye tha

wo shoKH ramida mujh ko apni
banhon mein niDhaal chahiye tha

tha wo jo kamal-e-shauq-e-waslat
KHwahish ko zawal chahiye tha

jo lamha-ba-lamha mil raha hai
wo sal-ba-sal chahiye tha