اردو हिंदी
Kab Thahrega dard ai dil kab raat basar hogi | Shaahi Shayari
kab Thahrega dard ai dil kab raat basar hogi

Ghazal

Kab Thahrega dard ai dil kab raat basar hogi

Faiz Ahmad Faiz

;

kab Thahrega dard ai dil kab raat basar hogi
sunte the wo aaenge sunte the sahar hogi

kab jaan lahu hogi kab ashk guhar hoga
kis din teri shunwai ai dida-e-tar hogi

kab mahkegi fasl-e-gul kab bahkega mai-KHana
kab subh-e-suKHan hogi kab sham-e-nazar hogi

waiz hai na zahid hai naseh hai na qatil hai
ab shahr mein yaron ki kis tarah basar hogi

kab tak abhi rah dekhen ai qamat-e-jaanana
kab hashr muayyan hai tujh ko to KHabar hogi