kab tasawwur yar-e-gul-ruKHsar ka feal-e-abas
ishq hai is gulshan-o-gulzar ka feal-e-abas
nikhat-e-gasu-e-KHuban ne kiya be-qadr use
ab hai sauda nafa-e-tatar ka feal-e-abas
rishta-e-ulfat rag-e-jaan mein buton ka paD gaya
ab ba-zahir shaghl hai zunnar ka feal-e-abas
aarzu-mand-e-shahadat aashiq-e-sadiq hue
ghair ko Dar hai teri talwar ka feal-e-abas
jab dil-e-sangin-dilan mein kuchh asar hota nahin
girya hai is dida-e-KHun-bar ka feal-e-abas
KHwab mein bhi yar ko is ka KHayal aata nahin
jagna tha dida-e-bedar ka feal-e-abas
KHali-az-hikmat hua 'bahram' kab fel-e-hakim
kaam kab hai dawar-e-dadar ka feal-e-abas
Ghazal
Kab tasawwur yar-e-gul-ruKHsar ka feal-e-abas
Bahram ji