اردو हिंदी
Kab tasawwur mein tere dida-e-tar band kiya | Shaahi Shayari
kab tasawwur mein tere dida-e-tar band kiya

Ghazal

Kab tasawwur mein tere dida-e-tar band kiya

Maroof Dehlvi

;

kab tasawwur mein tere dida-e-tar band kiya
KHana-e-aina mein tujh ko nazar-band kiya

kya nazakat hai saba us ki kamar ki jis ne
subh-dam tar-e-rag-e-gul se qamar-band kiya

dil ka ahwal jo khulta nahin tu ne ai chashm
qasid-e-ashk ko aane se magar band kiya

rahat-e-KHwab-e-adam dekh ke sab ne yak-dast
naqsh-e-pa se kaf-e-har-KHak mein dar-band kiya

dekh 'maruf' ki us shoKH ne shab ko yak-dast
tair-e-rang-e-hina ko ba-hunar band kiya