اردو हिंदी
Kab talak yun dhup chhanw ka tamasha dekhna | Shaahi Shayari
kab talak yun dhup chhanw ka tamasha dekhna

Ghazal

Kab talak yun dhup chhanw ka tamasha dekhna

Anwar Masood

;

kab talak yun dhup chhanw ka tamasha dekhna
dhup mein phirna ghane peDon ka saya dekhna

sath us ke koi manzar koi pas-e-manzar na ho
is tarah main chahta hun us ko tanha dekhna

raat apne dida-e-giryan ka nazzara kiya
kis se puchhen KHwab mein kaisa hai dariya dekhna

is ghaDi kuchh sujhne degi na ye pagal hawa
ek zara aandhi guzar jae to huliya dekhna

khul ke ro lene ki fursat phir na us ko mil saki
aaj phir 'anwar' hansega be-tahasha dekhna