kab talak shadabi-e-fikr-o-nazar kaam aaegi
gile kapDe se hawa pani uDa le jaegi
bhagte ghoDe ki rasen khinchne se faeda
Dubte suraj ki kya raftar kam ho jaegi
zehan par phaila rakhe hain jhinguron ne daere
aaj jo bhi baat sochunga mujhe uljhaegi
tak rahe hain kis ki jaanib najam KHeme gaD kar
dhup niklegi to pahle mere ghar mein aaegi
khil uTha hun aaj main bhi us ki surat dekh kar
ye ghaDi jab aaegi mujh ko yunhi mahkaegi
fasl suraj mein ugi hai tamtamati hai zamin
ye kahani pyar karne se samajh mein aaegi
jism ki putli ko raushan kar ke duniya se guzar
aankh KHwahish ki nazar rakhti hai dhoka khaegi
zard patte ki tarah be-ghar paDa hun rah mein
zard patte ko koi shaKH-e-hawa apnaegi
miTTiyon ki tah mein moti paniyon par daere
sochta hun kaun si daulat mere hath aaegi
sath leti ja hamein bhi Dubte suraj ki dhup
raat ke ghaaron mein teri yaad hum ko aaegi
wo bhi KHushbu ki tarah KHud se alag rahne laga
jaane ye mauj-e-KHayal us ko kahan le jaegi
khil rahi hai KHwahishon ki dhup sare jism mein
aankh kholunga to ye taswir bhi kho jaegi
bastiyon mein jangalon mein wadiyon mein koh mein
meri KHushbu meri dhaDkan meri aahaT jaegi
kitni taswiren mere andar se ubharengi 'KHalil'
jab teri aawaz kanon se mere Takraegi
Ghazal
Kab talak shadabi-e-fikr-o-nazar kaam aaegi
Khaleel Rampuri