kab talak hamari sai-e-amal raegan rahe
kab tak ghubar-e-dida-o-dil raegan rahe
aasuda-bayan to hazaron hain bazm mein
lekin wo bad-nasib jo tishna-bayan rahe
hai ab zaban-e-KHalq unhin ki fasana-KHwan
kal tak tere itab mein jo be-zaban rahe
kya zikr aish-rafta-e-ahd-e-bahaar ka
gham bhi mujhe qubul hai gar jawedan rahe
kya ehtiyat-e-saghar-o-mina karun ki jab
barbaadiyon mein sazish-e-pir-e-mughan rahe
'sufi' chaman mein koshish-e-paiham ke bawajud
jo phul nauha-KHwan the yunhi nauha-KHwan rahe
Ghazal
Kab talak hamari sai-e-amal raegan rahe
Saghir Ahmad Sufi