kab tak 'shakil' dil ko dua kijiyega aap
behtar yahi hai un ko bhula dijiyega aap
phir tishna-e-jamal bana dijiyega aap
ruKH se naqab ulaT kar gira dijiyega aap
dil ke ewaz to gham hi diya aap ne magar
ab jaan bhi nazr kar dun to kya kijiyega aap
hota jabin-e-husn pe gumnamiyon ka dagh
wo to meri nazar ko dua kijiyega aap
ehsas-e-tark-e-shauq baja hai magar 'shakil'
manga jawab dil ne to kya dijiyega aap
Ghazal
Kab tak shakil dil ko dua kijiyega aap
Shakeel Badayuni

