kab tak nibahen aise ghalat aadmi se hum
duniya hai 'mazhari' se KHafa 'mazhari' se hum
bhage zarur arsa-e-tang-e-KHudi se hum
nikle magar na daira-e-agahi se hum
is zindagi ne aap se rakkha hai mujh ko dur
kis tarah intiqam na len zindagi se hum
har jama-e-sifat mein kyun kar na jhol ho
hai ye ki napte hain KHuda ko KHudi se hum
tulte hain jis taraazu mein sim-o-zar o guhar
kya zulm hai dilon ko bhi taulen usi se hum
sairabiyan 'jamil' ko itna na de sakin
jitna ki faizyab hue tishnagi se hum
Ghazal
Kab tak nibahen aise ghalat aadmi se hum
Jameel Mazhari