kab tak karenge jabr dil-e-na-subur par
musa to ja ke baiTh rahe koh-e-tur par
koi mujhe batae ki ab kya jawab dun
wo mujh se uzr karte hain mere qusur par
talib hain jo tere unhen jannat se kya gharaz
paDti nahin hai aankh shahidon ki hur par
jalwa dikhaiye hamein bas uzr ho chuka
jalne ke waste nahin aae hain tur par
zahid bhi is zamane ke aashiq mizaj hain
jite hain us ko dekh ke marte hain hur par
ghar kar gain na dil mein meri KHaksariyan
nazan the aap bhi bahut apne ghurur par
baKHshe gae na hum se jo do-chaar baada-KHwar
bhinkengi makkhiyan hain sharab-e-tuhur par
kuchh shoKHiyon ke rang bhi betabiyon mein hain
kis ki nazar paDi hai dil-e-na-subur par
zahid ki tarah hum ko bhi jannat ki hai talash
apna bhi aa gaya hai dil ek rashk-e-hur par
rakkhe kahin ye shauq-e-rihai mujhe na qaid
taDpa agar yahin to rahenge zarur par
'beKHud' na DhunD koi wasila najat ka
ye munhasir hai rahmat-e-rabb-e-ghafur par
Ghazal
Kab tak karenge jabr dil-e-na-subur par
Bekhud Dehlvi