kab tak kaDakti dhup mein aankhen jalaen hum
saya dikhai de to kahin baiTh jaen hum
miTti nahin kisi se bhi qurbat ki duriyan
gar kho gaya ho tu to tujhe DhunD laen hum
be-nur ho chali hain tamanna ki bastiyan
kab tak charag-e-yaad-e-guzishta jalaen hum
tera wajud biti hui zindagi ki yaad
tu aa chuke to shahr mein dhumen machaen hum
sau tarah ki bahaar hai sau rang ki KHizan
is dil ki wusaton mein kahin kho na jaen hum
har saneha pukar ke kahta hai chup raho
kab tak dilon ki baat zaban tak na laen hum
is shahr-e-KHamushi mein koi jagta bhi ho
'shahzad' kis ko subh ka muzhda sunaen hum
Ghazal
Kab tak kaDakti dhup mein aankhen jalaen hum
Shahzad Ahmad

