kab tak gardish mein rahna hai kuchh to bata ayyam mujhe
kashti ko sahil mil jata aur thoDa aaram mujhe
dasht nahin hai ye to mera ghar hai lekin jaane kyun
uljhae rahti hai ek wahshat si subh-o-sham mujhe
apni zat se bahar aana ab to meri majburi hai
warna meri ye tanhai kar degi bad-nam mujhe
mumkin hai ek din main in rishton se munkir ho jaun
aur agar aisa hota hai mat dena ilzam mujhe
mere dil ka dard suna to us ki aankhen bhar aain
is se behtar mil nahin sakte apne munasib dam mujhe
zehn ko ye aawara sochen kis manzil par le aain
kitni mushkil se yaad aaya aaj tera bhi nam mujhe
nind se israr na kartin shayad meri aankhen bhi
pahle se malum jo hota KHwabon ka anjam mujhe
dasht-e-talab se kah do mujh ko meri manzil batla de
man liya hai ab to sarabon ne bhi tishna-kaam mujhe
ek muddat se khoya hua tha main apni hi duniya mein
tum ko dekha to yaad aaya tum se tha kuchh kaam mujhe
Ghazal
Kab tak gardish mein rahna hai kuchh to bata ayyam mujhe
Bharat Bhushan Pant