kab suni tum ne ragni meri
guftani hai ye KHamushi meri
ek aahaT se jagti hun main
ek dastak hai zindagi meri
abr-e-zulmat kise Daraata hai
aur phailegi chandni meri
kaun Thahrega dekhna ye hai
daur-e-mina ya tishnagi meri
aah aaya hi tha wo sapne mein
dafatan aankh khul gai meri
wajh-e-bechaini kya bataun main
chain tera hai be-kali meri
tujh pe guzre na aalam-e-wahshat
tu na dekhe ye bebasi meri
is ne rakkha jo samne saghar
baDh gai aur tishnagi meri
main to sae se apne katraun
dekh KHud se ye kaj-rawi meri
tum farozan ho ek sitare se
mere andar hai raushni meri
tujh ko dekhun ya kuchh nahin dekhun
teri KHwahish hai didani meri
Ghazal
Kab suni tumne ragni meri
Shaista Sahar