اردو हिंदी
Kab se raazi tha badan be-sar-o-samani par | Shaahi Shayari
kab se raazi tha badan be-sar-o-samani par

Ghazal

Kab se raazi tha badan be-sar-o-samani par

Irfan Siddiqi

;

kab se raazi tha badan be-sar-o-samani par
shab main hairan hua KHun ki tughyani par

ek chahkar ne sannaTe ka toDa pindar
ek nau-barg hansa dasht ki virani par

kal bagule ki tarah us ka badan raqs mein tha
kis qadar KHush thi meri KHak pareshani par

mere honTon se jo suraj ka kinara TuTa
ban gaya ek sitara teri peshani par

kaun sa shahr-e-saba fath kiya chahta hun
log hairan hain mere kar-e-sulaimani par