اردو हिंदी
Kab se is duniya ko sargarm-e-safar pata hun main | Shaahi Shayari
kab se is duniya ko sargarm-e-safar pata hun main

Ghazal

Kab se is duniya ko sargarm-e-safar pata hun main

Shafiq Jaunpuri

;

kab se is duniya ko sargarm-e-safar pata hun main
phir bhi har manzil ko pahli rahguzar pata hun main

murshid-e-mai-KHane ke qadmon pe sar pata hun main
ab dimagh-e-mai-parasti arsh par pata hun main

har taraf saqi tera faiz-e-nazar pata hun main
KHanqahon mein bhi masti ka asar pata hun main

dam-ba-dam us ruKH pe ek husn-e-digar pata hun main
har nigah-e-shauq ko pahli nazar pata hun main

sajda us ka hai jabin us ki hai qismat us ki hai
jis ki peshani pe un ki KHak-e-dar pata hun main

allah allah sakinan-e-ku-e-jaanan ka waqar
har gada-e-astan ko tajwar pata hun main

arsh ko hairat haram ko wajd nazan bandagi
hae wo aalam ki jab sajde mein sar pata hun main

le gae kis ke ruKH o gesu bahaar-e-roz-o-shab
muddaton se ghar ko be-sham-o-sahar pata hun main

dur hoti hai rah-e-ghurbat mein koson ki thakan
jab kisi manzil pe koi ham-safar pata hun main

ahl-e-mahfil honge kya ahl-e-basirat ai 'shafiq'
mir-e-mahfil hi ko be-fikr-o-nazar pata hun main