kab saman dekhenge hum zaKHmon ke bhar jaane ka
nam leta hi nahin waqt guzar jaane ka
jaane wo kaun hai jo daman-e-dil khinchta hai
jab kabhi hum ne irada kiya mar jaane ka
dast-bardar abhi teri talab se ho jaen
koi rasta bhi to ho lauT ke ghar jaane ka
lata hum tak bhi koi nind se bojhal raaten
aata hum ko bhi maza KHwab mein Dar jaane ka
sochte hi rahe puchhenge teri aankhon se
kis se sikha hai hunar dil mein utar jaane ka
Ghazal
Kab saman dekhenge hum zaKHmon ke bhar jaane ka
Shahryar